Hazrat Sheikh Abu Najeeb Suherwardi
Rahmatullah Alayh
Aap ki wiladat ba saadt mah Safar 490 Hijri mein Suherward ke maqam par hui. Aapka ism e graami Abdul Qahar Rahmatullah Alayh kuniat Abdul Najeeb aur alqabaat Sheikh aur Zia al Deen Rahmatullah Alayh hain. Aap ka shajrah nasb chand wastoon se Hazrat Abu Baker Razi AllahTala Anhu se ja milta hai .
Aap ne ibtidayi taleem apne ghar par haasil ki phir aala taleem ke liye Suherward se Baghdad tashreef le aeye aur phir madrassa Nizamia mein daakhil ho gaye aur masnad fazeelat haasil ki. Ilm ke shoq mein aap Isfahan aur Sakandriya bhi tashreef le gaye o ray wahan ke ulma se bhi mustafeed hue. Aap ko Baghdad mein isi madrassa ka naazim aala bna dya gya. Jis ke baad madrassa ne khoob taraqqi ki. Lekin baad mein kuch aisay halaat peda ho gaye jis ki bana par aap ne ba tor ehtijaj astefa de diya .
Zahiri aloom ki takmeel ke baad aap ne shahrah sulooq mein qadam rakha aur apne chacha Hazrat Sheikh Wajeeh al Deen Rahmatullah Alayh ke dast haq par baet farmai aur unhi ki nigrani mein manazil sulooq tey kar kay khirqah khilafat haasil kya. Is ke baad aap Hazrat Imam Ahmed Ghazali Rahmatullah Alayh ki khidmat mein haazir hue aur zahiri o baatini faizan se mustafeed hue aur Hazrat Imam Ahmed Ghazali Rahmatullah Alayh se khirqah khilafat haasil kya. Is ke ilawa aap ne Hazrat Abdul Qadir Jilani Rahmatullah Alayh se bhi khirqah khilafat haasil kya. Jab Hazrat Ghaus Pak Rahmatullah Alayh ne farmaya tha ke mera qadam saaray walyoon ki gardnon par hai to aap bhi is majlis mein mojood they aur aap ne apna sar mubarak juka liya tha .
Hazrat Shahab al Deen Rahmatullah Alayh farmatay hain ki aik bar mere Sheikh Hazrat Abu Najeeb Rahmatullah Alayh Hajj ke liye tashreef le gaye mein bhi aap ke hamrah tha. Aik raat aap khilwat gaah mein maraqbe mein they aur mujhe aap ne darwazay par mutayyan kar diya tha taakay koi mukhil nah ho. Aik shab achanak Hazrat Khizar Aleh Salam aap se mulaqaat ke liye tashreef laaye aur mujhe kaha andar jaa kar mera salam ponchao aur kaho ke aap ka dost Khizar Aleh Salam aap se mulaqaat ko aaya hai. Chunancha mein andar gaya salam o paigham pohanchaya lekin aap ne koi tavajja nah di. Isi terhan teen baar aisa howa mein andar gaya lekin aap ne koi tavajja nah di. Chunancha subah sadiq honay lagi aur Hazrat Khizar Aleh Salam mujh se rukhsat hotay waqt frmane lagey ke jab Sheikh maraqbe se farigh ho jaien to mera salam pouncha dena .
Jab Sheikh maraqbe se farigh hue to mein ne salam pohanchaya aur arz ki ke Hazrat Khizar Aleh Salam se mulaqaat ki to barray barray buzurgon ki tamanna hai lekin aap ne koi tavajja nah di. Aap ne farmaya ke ae betay jo shakhs maalik al mulk ke mushahiday mein masroof ho is ke liye munasib nahi ke idhar se rad e garani karkay makhlooq ki janib mutwajjah ho. Ae betay mein is waqt aalam tajallii mein mutaghraq tha aur Allah ki munajat mein mashgool tha. Agar woh waqt faut ho jata to woh dobarah kahan se milta aur qayamat taq nedamat rehti. Khwaja Khir aleh salam to phir bhi mil jayen ge abhi aap ke munh se yeh alfaaz nikal rahay they ke Hazrat Khizar Aleh Salam dobarah tashreef le aeye. Aap ne uth kar un ka istaqbaal kiya aur adab o ehtram se apni jagah par bithaya .
Hazrat Imam Yafi apni kitaab mein tehreer farmatay hain ke Hazrat Sheikh Abu Najeeb Rahmatullah Alayh ke aik mureed ne kaha ke aik roz hum Hazrat Abdul Najeeb Rahmatullah Alayh ke hamrah Baghdad ke bazaar se guzar rahay they ke aik qassab ki dokaan par puhanche wahan aik bakri lataki hui thi. Sheikh Rahmatullah Alayh kharray ho gaye aur farmaya ke yeh bakri kehti hai ke mann murda umm nah kushta yani ke mein murda hon mujhe zibah nahi kya gaya. Qassab yeh suntay hi be hosh ho kar gir gai jab hosh mein aaya to Hazrat Sheikh Rahmatullah Alayh ki baat ka iqraar kiya aur apne gunah se tauba ki aur taib ho gaya .
Hazrat Abu Najeeb Rahmatullah Alayh 17 Jamad al Akhar 563 Hijri mein is dar e fani se rukhsat hue. Aap ka mazaar aqdes Baghdad shareef mein Dareaye Dajla ke kinare waqay hai .